kaisī  zamīñ  sukūn  kahāñ  kā  kahāñ  kī  chhāñv
mujh  ko  nigal  ga.ī  mire  naḳhl-e-amāñ  kī  chhāñv
chhā  jā.egī  yaqīn  kī  arz-e-basīt  par
zehnoñ  meñ  phailte  hue  dūd-e-gumāñ  kī  chhāñv
gahrā.iyoñ  ne  mujh  ko  ubharne  nahīñ  diyā
raqsāñ  thī  sat.h-e-āb  pe  ik  bādbāñ  kī  chhāñv
sūraj  kī  mumlikat  meñ  ġhanīmat  samajh  use
sar  se  guzar  ga.ī  tire  abr-e-ravāñ  kī  chhāñv
ham  dhuup  ke  safar  pe  musalsal  haiñ  gāmzan
kashkol-e-chashm  meñ  liye  ik  sā.ebāñ  kī  chhāñv