kahāñ  bashārat-e-fasl-e-bahār  laa.ī  thī
havā  to  baaġh  kī  izzat  utaar  laa.ī  thī
guloñ  pe  uḌtī  huī  titliyoñ  se  yaad  aayā
tirī  talab  mujhe  dariyā  ke  paar  laa.ī  thī
sadā  na  phir  mire  be-jān  jism  se  niklī
havā  to  us  ko  guphā  tak  pukār  laa.ī  thī
tumhāre  saa.e  se  armān  sab  nikāle  ga.e
visāl-rut  samar-e-intizār  laa.ī  thī
vo  koī  ḳhaas  chamak  DhūñDhtā  rahā  'zīshān'
hamārī  aañkh  safar  kā  ġhubār  laa.ī  thī