zarre  kā  raaz  mehr  ko  samjhānā  chāhiye
chhoTī  sī  koī  baat  ho  laḌ  jaanā  chāhiye
ḳhvāboñ  kī  ek  naav  samundar  meñ  Daal  ke
tūfāñ  kī  mauj  mauj  se  Takrānā  chāhiye
har  baat  meñ  jo  zahr  ke  nashtar  lagā.e  haiñ
aise  hī  dil-jaloñ  se  to  yārāna  chāhiye
kyā  zindagī  se  baḌh  ke  jahannam  nahīñ  koī
ye  sach  hai  phir  to  aag  meñ  jal  jaanā  chāhiye
duniyā  vo  shāhrāh  hai  bachnā  muhāl  hai
pagDanDiyoñ  ko  DhūñDh  ke  apnānā  chāhiye
nazmeñ  vo  hoñ  ki  chīḳh  paḌeñ  saare  ahl-e-fan
nīndeñ  uḌā  de  sab  kī  vo  afsāna  chāhiye
bahroñ  ko  toḌ  toḌ  ke  naale  meñ  Daal  do
bas  dil  kī  lai  meñ  fikr  ko  Dhal  jaanā  chāhiye
ye  kahkashāñ  bhī  TuuT  ke  ho  misraoñ  meñ  jazb
zehn-e-rasā  ko  itnā  to  uljhānā  chāhiye
ham  'ulysses'  ban  ke  bahut  jī  chuke  magar
yaaro  'husain'  ban  ke  bhī  mar  jaanā  chāhiye