Ajmal Siraj

maine ai dil tujhe sine se lagaya hua hai

Ajmal Siraj

1968

maiñ ne ai dil tujhe siine se lagāyā huā hai

aur hai ki mirī jaan ko aayā huā hai

bas isī bojh se dohrī huī jaatī hai kamar

zindagī jo ye ehsān uThāyā huā hai

kyā huā gar nahīñ bādal ye barasne vaalā

ye bhī kuchh kam to nahīñ hai jo ye aayā huā hai

raah chaltī huī is rāhguzar par 'ajmal'

ham samajhte haiñ qadam ham ne jamāyā huā hai

ham ye samjhe the ki ham bhuul ga.e haiñ us ko

aaj be-tarah hameñ yaad jo aayā huā hai

vo kisī roz havāoñ tarah aa.egā

raah meñ jis diyā ham ne jalāyā huā hai

kaun batlā.e use apnā yaqīñ hai ki nahīñ

vo jise ham ne ḳhudā apnā banāyā huā hai

yūñhī dīvāna banā phirtā hai varna 'ajmal'

dil meñ baiThā huā hai zehn pe chhāyā huā hai

Top Urdushayar.com