Bismil Saeedi

iltijaen karne wale ko dua se kya gharaz

Bismil Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1902-1977
iltijā.eñ karne vaale ko duā se kyā ġharaz
jis ko ho tujh se ġharaz us ko ḳhudā se kyā ġharaz
pī rahā hai muskurā kar jām-e-sehat maut kā
tere bīmār-e-mohabbat ko shifā se kyā ġharaz
ishq kashtī apnī ḳhud khetā hai apne zor par
nā-ḳhudā se vāsta kyā aur ḳhudā se kyā ġharaz
maiñ huuñ aur ab āstān-e-ishq kī haiñ azmateñ
ab mire sajdoñ ko tere naqsh-e-pā se kyā ġharaz
dil ko ab zauq-e-mohabbat ke maze aane lage
tujh se ab terī jafā se yā vafā se kyā ġharaz
o nigāh-e-multafit be-fā.eda hai iltifāt
dard hī dil meñ nahīñ hai ab davā se kyā ġharaz
ab ghaTā.eñ mai-kade par chhā.īñ to maiñ kyā karūñ
be-dilī ko da.avat-e-āb-o-havā se kyā ġharaz
ruuh ko bālīdgī ho jis meñ ab vo dil nahīñ
ham-nashīñ mujh ko bahār-e-jāñ-fazā se kyā ġharaz
kis qadar ḳhush rah ke mar jaate haiñ mazlūmān-e-ishq
koī ye samjhe inheñ roz-e-jazā se kyā ġharaz
qahr ko bhī jis ke ho ik darguzar se vāsta
us kī rahmat ko mire jurm-o-ḳhatā se kyā ġharaz
ab dil-e-nākām meñ vo nāla-o-naġhma kahāñ
'bismil' ik sāz-e-shikasta ko sadā se kyā ġharaz
Top Urdushayar.com