Sayyad Qais Raza

yun sab kuchh dekh kar bhi dekhta koi nahin hai

Sayyad Qais Raza

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1992

yuuñ sab kuchh dekh kar bhī dekhtā koī nahīñ hai

so ham pe bolte haiñ boltā koī nahīñ hai

fareb-e-ā.ina hai bas tamāsha hai ye duniyā

yahāñ par sab ḳhudā haiñ aur ḳhudā koī nahīñ hai

vo kis aag thī kis ne jalāyā ghar hamārā

ye sab jānte haiñ māntā koī nahīñ hai

havā.eñ chāñd taare phuul ḳhushbū dasht dariyā

ye sab ke sab haiñ tere aur mirā koī nahīñ hai

maiñ ġhusl-e-aks karnā chāhtā huuñ aa.ina do

ki mujh meñ ab bhī maiñ rahtā huuñ koī nahīñ hai

chalo ab maan lo ye dūriyāñ ḳhud-sāḳhta haiñ

vagarna dil se dil tak fāsla koī nahīñ hai

Top Urdushayar.com