nayan sukh

wajibi baat kahin zara kahiye

nayan sukh

vājibī baat kahīñ zarā kahiye
barī lagtī hai sab ko kyā kahiye
mujh ko ik ye baḌī sī hairat hai
bure ko kis tarah bhalā kahiye
nekī kā phal badī lagā hone
is zamāne kā kyā gila kahiye
charḳh-e-zālim ne sab ko Daalā piis
is ko tahqīq āsiyā kahiye
aur hī ahvāl dekhtā huuñ maiñ
kis ke aage ye mājrā kahiye
jā-ba-jā chhūTeñ jhuuT ke shīshe
ye bhī yāroñ kā ishqalā kahiye
ammī kahte haiñ ham to haiñ fāzil
bevaqūfoñ kā dar khulā kahiye
apnī karte haiñ aap hī tārīf
un ke ta.iiñ ko to chūtiyā kahiye
be-shu.ūrī pe bas-ki haiñ nāzāñ
kyuuñ na ab un ko nā sazā kahiye
shaiḳh-jī ne kiyā hai aaj ḳhizāb
is ko būḌhe kā chochalā kahiye
logoñ ke phoḌtā phire shīshe
mohtasib ko to masḳharā kahiye
poch pādar huā bake hai suḳhan
nāseh ko ḳhvāh-maḳhvāh saḌā kahiye
apnā sar phoḌtā hai aap raqīb
shauq se is ko mud-jhaḌā kahiye
maare ḳhandoñ ke mard-e-ādam ko
koī pūchhe nahīñ hai kyā kahiye
DāḌhī milā kī go ki hai ḳhū-gīr
par mahādev kī jaTā kahiye
jin kī hurmat pe kuchh nahīñ hai nigāh
in ko pā-posh kā talā kahiye
chhupte phirte haiñ vaqt-e-jañg-o-jadal
buzdilā un ko barmalā kahiye
ḳhud-pasandī meñ ġharq hai aalam
'nayan' ko kis ko ab burā kahiye
Top Urdushayar.com