vājibī  baat  kahīñ  zarā  kahiye
barī  lagtī  hai  sab  ko  kyā  kahiye
mujh  ko  ik  ye  baḌī  sī  hairat  hai
bure  ko  kis  tarah  bhalā  kahiye
nekī  kā  phal  badī  lagā  hone
is  zamāne  kā  kyā  gila  kahiye
charḳh-e-zālim  ne  sab  ko  Daalā  piis
is  ko  tahqīq  āsiyā  kahiye
aur  hī  ahvāl  dekhtā  huuñ  maiñ
kis  ke  aage  ye  mājrā  kahiye
jā-ba-jā  chhūTeñ  jhuuT  ke  shīshe
ye  bhī  yāroñ  kā  ishqalā  kahiye
ammī  kahte  haiñ  ham  to  haiñ  fāzil
bevaqūfoñ  kā  dar  khulā  kahiye
apnī  karte  haiñ  aap  hī  tārīf
un  ke  ta.iiñ  ko  to  chūtiyā  kahiye
be-shu.ūrī  pe  bas-ki  haiñ  nāzāñ
kyuuñ  na  ab  un  ko  nā  sazā  kahiye
shaiḳh-jī  ne  kiyā  hai  aaj  ḳhizāb
is  ko  būḌhe  kā  chochalā  kahiye
logoñ  ke  phoḌtā  phire  shīshe
mohtasib  ko  to  masḳharā  kahiye
poch  pādar  huā  bake  hai  suḳhan
nāseh  ko  ḳhvāh-maḳhvāh  saḌā  kahiye
apnā  sar  phoḌtā  hai  aap  raqīb
shauq  se  is  ko  mud-jhaḌā  kahiye
maare  ḳhandoñ  ke  mard-e-ādam  ko
koī  pūchhe  nahīñ  hai  kyā  kahiye
DāḌhī  milā  kī  go  ki  hai  ḳhū-gīr
par  mahādev  kī  jaTā  kahiye
jin  kī  hurmat  pe  kuchh  nahīñ  hai  nigāh
in  ko  pā-posh  kā  talā  kahiye
chhupte  phirte  haiñ  vaqt-e-jañg-o-jadal
buzdilā  un  ko  barmalā  kahiye
ḳhud-pasandī  meñ  ġharq  hai  aalam
'nayan'  ko  kis  ko  ab  burā  kahiye