nāgin  hai  zulf-e-yār  na  zinhār  dekhnā
uḌ  uḌ  ke  kāTtī  hai  ḳhabar-dār  dekhnā
kahte  haiñ  log  mujh  se  ye  khā  khā  ke  ab  qasam
ḳhuñḳhār  hai  ye  shoḳh  sitamgār  dekhnā
shīrīñ  dahan  na  būjhiyo  haiñ  shahd  kī  chhurī
hañs  hañs  ke  jaan  leñ  haiñ  ye  atvār  dekhnā
kahtā  huuñ  dar  javāb  unhoñ  ke  meñ  rū-ba-rū
chāho  so  ho  par  mujhe  ik  baar  dekhnā
qaabū  meñ  aatā  to  nahīñ  hai  mire  raqīb
kahīñ  daad  ban  gayā  to  mere  yaar  dekhnā
shāna  samajh  ke  kījiyo  zulfoñ  ko  apnī  yaar
uljhā  hai  us  meñ  dil  ye  giraftār  dekhnā
dil  ḳhush  huā  kahīñ  to  phir  apnā  ye  hai  shi.ār
jā  kar  ke  baaġh  meñ  gul-o-gulzār  dekhnā
apnī  nazar  to  'nayan'  ḳhudā  par  hai  ho  so  ho
jo  aan  baaz  khaa.e  so  lāchār  dekhnā