yaar  kā  vasl-e-shabā-shab  na  huā  thā  so  huā
sāġhar  ishq-e-labā-lab  na  huā  thā  so  huā
le  chukā  dil  ko  vo  mujh  haath  se  tab  maiñ  ne  kahā
is  qadar  terā  matālib  na  huā  thā  so  huā
jaur  aur  zulm  se  duniyā  meñ  ye  ḳhūbāñ  kā  ism
bevafā.ī  kā  mulaqqab  na  huā  thā  so  huā
karnā  tasḳhīr  har  ik  dil  ko  do  ik  bātoñ  meñ
is  tarah  kā  bhī  ajā.ib  na  huā  thā  so  huā
roz  lagtā  hai  tire  kaan  se  jā  jā  ke  raqīb
kasū  kā  itnā  marātib  na  huā  thā  so  huā
ġhairoñ  kī  bar  meñ  tire  ab  to  ye  kuchh  kasrat  hai
ya.anī  har  koī  musāhib  na  huā  thā  so  huā
mehr  ustād  kī  se  dekho  to  is  'nain'  ke  ta.iiñ
sher  kahne  kā  kabhī  Dhab  na  huā  thā  so  huā