tiir  barse  kabhī  ḳhanjar  aa.e
ye  maqāmāt  bhī  akasr  aa.e
shahr  meñ  aag  lagī  hai  apne
jo  bhī  aa.e  vo  sambhal  kar  aa.e
phir  tabāhī  kī  taraf  hai  duniyā
phir  zarūrat  hai  payambar  aa.e
vo  to  rahzan  ke  bhī  rahzan  nikle
ham  to  samjhe  the  ki  rahbar  aa.e
shahr  meñ  jab  koī  hañgāma  huā
log  kuchh  bhes  badal  kar  aa.e
aap  chup  rahe  ke  bhale  ban  baiThe
saare  ilzām  hamīñ  par  aa.e