Iqbal Azeem

sab samajhte hain ki hum kis karwan ke log hain

Iqbal Azeem

Meerut, Uttar pradesh, India

1913-2000

sab samajhte haiñ ki ham kis kārvāñ ke log haiñ

phir bhī pūchhā rahā hai ham kahāñ ke log haiñ

millat-e-baizā ne ye sīkhā hai sad-hā saal meñ

ye yahāñ ke log haiñ aur vo vahāñ ke log haiñ

ḳhālī paimāne liye baiThe haiñ rindān-e-kirām

mai-kada un hai jo pīr-e-muġhāñ ke log haiñ

in se mat pūchho ki manzil tum se kyuuñ chhīnī ga.ī

in ko mat chheḌo ye mīr-e-kārvāñ ke log haiñ

gul-faroshī se unheñ ham rokne vaale haiñ kaun

ham chaman ke log haiñ vo bāġhbāñ ke log haiñ

apne dushman se hameñ 'iqbāl' koī Dar nahīñ

un se be-shak ḳhauf hai jo darmiyāñ ke log haiñ

Top Urdushayar.com