Iqbal Azeem

mana ki zindagi se hamein kuchh mila bhi hai

Iqbal Azeem

Meerut, Uttar pradesh, India

1913-2000
maanā ki zindagī se hameñ kuchh milā bhī hai
is zindagī ko ham ne bahut kuchh diyā bhī hai
mahsūs ho rahā hai ki tanhā nahīñ huuñ maiñ
shāyad kahīñ qarīb koī dūsrā bhī hai
qātil ne kis safā.ī se dhoī hai āstīñ
us ko ḳhabar nahīñ ki lahū boltā bhī hai
ġharqāb kar diyā thā hameñ nā-ḳhudāoñ ne
vo to kaho ki ek hamārā ḳhudā bhī hai
ho to rahī hai koshish-e-ārā.ish-e-chaman
lekin chaman ġharīb meñ ab kuchh rahā bhī hai
ai qāfile ke logo zarā jāgte raho
sunte haiñ qāfile meñ koī rahnumā bhī hai
ham phir bhī apne chehre na dekheñ to kyā ilaaj
āñkheñ bhī haiñ charāġh bhī hai aa.inā bhī hai
'iqbāl' shukr bhejo ki tum dīda-var nahīñ
dīda-varoñ ko aaj koī pūchhtā bhī hai
Top Urdushayar.com