aaj yuuñ mujh se milā hai ki ḳhafā ho jaise
us kā ye husn bhī kuchh merī ḳhatā ho jaise
vahī māyūsī kā aalam vahī naumīdī kā rañg
zindagī bhī kisī muflis kī duā ho jaise
kabhī ḳhāmoshī bhī yuuñ boltī hai pyaar ke bol
koī ḳhāmoshī meñ bhī naġhma-sarā ho jaise
harf-e-dushnām se yuuñ us ne navāzā ham ko
ye malāmat hī mohabbat kā sila ho jaise
is takalluf se sitam ham pe ravā rakhtā hai
ye bhī minjumla-e-ādāb-e-vafā ho jaise
ġham-e-ayyām pe yuuñ ḳhush haiñ tire dīvāne
ġham-e-ayyām bhī ik terī adā ho jaise
bandagī ham ko to aa.ī ki na aa.ī lekin
husn yuuñ ruuTh gayā hai ki ḳhudā ho jaise