Abid Nami

aap karishma-saz hue hain hosh mein hai diwana bhi

Abid Nami

Hyderabad, Telangana, India

1926
aap karishma-sāz hue haiñ hosh meñ hai dīvāna bhī
husn-e-adā hai naam usī kā hairāñ hai parvāna bhī
vaqt ne aisī karvaT badlī phuul khile bastī ujḌī
vahshat kā vo zor baḌhā ābād huā vīrāna bhī
raat kī mahfil-ārā.ī kā pichhle pahar ahvāl na pūchh
sham.a kī lau bhī sard paḌī thī raakh huā parvāna bhī
tanhā.ī se ghabrā kar ham kyā kyā shikve karte the
lekin jab se aap mile haiñ dost huā begāna bhī
dam ke dam meñ duniyā badlī bhiiḌ chhaTī kohrām uThā
chalte chalte saañs rukī aur ḳhatm huā afsāna bhī
maiñ bhī sajda kar luuñ 'nāmī' lekin dil ko dhaḌkan hai
kyā ye vahī ka.aba to nahīñ jo kal tak thā but-ḳhāna bhī
Top Urdushayar.com