Bismil Saeedi

ghair-mumkin bhi hai mumkin mujhe malum na tha

Bismil Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1902-1977
ġhair-mumkin bhī hai mumkin mujhe ma.alūm na thā
ek din aa.egā ye din mujhe ma.alūm na thā
aur kuchh maiñ tire zāhir se samajhtā thā tujhe
aur kuchh hai tirā bātin mujhe ma.alūm na thā
apne dāmān-e-tasanño.a meñ chhupā sakte haiñ
un ma.ā.ib ko mahāsin mujhe ma.alūm na thā
dushmanī ke liye maḳhsūs hai jo tarz-e-amal
dostī meñ hai vo mumkin mujhe ma.alūm na thā
aah ho saktī hai bedād pe maa.il vo nazar
ho jo altāf kī zāmin mujhe ma.alūm na thā
umr-bhar sabr na aa.egā mujhe jis ke baġhair
chain pā.egā vo mujh bin mujhe ma.alūm na thā
bāhama garmī-e-dil nabz-e-mohabbat ik din
ho ke rah jā.egī sākin mujhe ma.alūm na thā
aah is umr-e-mohabbat meñ kabhī ai 'bismil'
ek din aa.egā ye din mujhe ma.alūm na thā
Top Urdushayar.com