Saeed Naqvi

kiya hai KHud hi giran zist ka safar maine

Saeed Naqvi

kiyā hai ḳhud girāñ ziist safar maiñ ne

katar liye the kabhī apne bāl-o-par maiñ ne

yuuñ apnī zaat meñ ab qaid ho ke baiThā huuñ

ḳhud apne gird uThā.e the bām-o-dar maiñ ne

badal ga.e ḳhat o ma.anī ka.ī zabānoñ ke

jab e'tirāf-e-junūñ kar liyā hunar maiñ ne

merī tishna-labī par savāl kartā hai

samundaroñ pe banāyā thā apnā ghar maiñ ne

jo aaj phir se mire bāl-o-par nikal aa.e

to terī raah ke kaTvā diye shajar maiñ ne

maiñ us zaat pe yuuñ tabsira nahīñ kartā

ki puure qad se to dekhā nahīñ magar maiñ ne

maiñ chāñd raat bhaTkā huā musāfir thā

añdherī raat meñ tanhā kiyā safar maiñ ne

maiñ be-libās to aayā thā bā-libās gayā

ye zād-e-rāh kamāyā rah-e-hunar maiñ ne

vafūr-e-harf ke virse aarzū meñ 'sa.īd'

sunā hai 'mīr' aur 'mirzā' kabhī 'jigar' maiñ ne

Top Urdushayar.com