Bismil Saeedi

gham nahin naz-e-husn hai husn ke naz uThae ja

Bismil Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1902-1977

ġham nahīñ nāz-e-husn hai husn ke naaz uThā.e

ai dil-e-mubtalā-e-ġham ġham meñ bhī muskurā.e

husn hai ishq-e-āfrīñ husn pe dil luTā.e

ishq ko dard-e-dil banā dard ko dil banā.e

jalva-ba-jalva gar nahīñ parda-ba-parda aa.e

dil meñ mire samā.e ruuh meñ jagmagā.e

shorish-e-kā.enāt meñ ġham ko ḳhushī banā.e

hañs mire āñsuoñ meñ aah meñ muskurā.e

tāroñ meñ jagmagā.e chāñd meñ muskurā.e

duur se koī naġhma-e-rūh-fazā sunā.e

zabt ba-qadr-e-zarf hai zarf ba-qadr-e-shauq hai

abhī sāmne na aa shauq abhī baḌhā.e

bāhama tark-e-rasm-o-rāh kuchh to ho iltifāt bhī

mujhe bhuul magar yaad mujhe aa.e

husn se baḌh ke bad-gumāñ ishq hai apne aap se

maiñ abhī mutma.in nahīñ mujhe āzmā.e

sirf jabīn-e-shauq ho aur kisī āstāñ

sajde bhī darmiyāñ na huuñ sajdoñ ko bhī miTā.e

bazm-e-nashāt-e-kā.enāt mujh pe hai ḳhanda-zan hanūz

ḳhalvat-e-ġham meñ abhī aur mujhe rulā.e

ab na vo 'bismil' aur na ab na vo dil na aarzū

ab to ḳhudā ke vāste yaad use na aa.e

Top Urdushayar.com