Bilal Ahmad

zamin nai thi anasir ki KHu badalti thi

Bilal Ahmad

1979
zamīñ na.ī thī anāsir kī ḳhū badaltī thī
havā se pahle jazīre pe dhuup chaltī thī
nigah bahalne lagī thī hasīñ manāzir se
bas ek rañj kī hālat nahīñ bahaltī thī
us ik charāg se chehre kī diid mushkil thī
nazar kī lau kabhī girtī kabhī sambhaltī thī
hamāre dasht ko vahshat nahīñ milī thī abhī
so us ke dil meñ koī aabjū machaltī thī
saḌak kā surma.ī dil bichh rahā thā pairoñ meñ
vo gul-nazhād kahīñ sair ko nikaltī thī
hamārī ḳhaak tabarruk samajh ke le jaao
hamārī jaan mohabbat kī lau meñ jaltī thī
Top Urdushayar.com