Bismil Saeedi

ishq ki allah ri dushwariyan

Bismil Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1902-1977
ishq kī allāh rī dushvāriyāñ
ik junūñ aur laakh zimmedāriyāñ
ehtimām-e-zindagi-e-ishq dekh
roz mar jaane kī haiñ tayyāriyāñ
ishq kā ġham vo bhī tere ishq kā
kaun kar saktā mirī ġham-ḳhvāriyāñ
be-ḳhūdī-e-ishq jaise ġham kī niiñd
ġham kī nīndeñ ruuh kī bedāriyāñ
ik junūn-e-ishq par qurbān haiñ
hikmat-o-irfāñ kī sau hushyāriyāñ
ishq bhī hai kis qadar bar-ḳhud ġhalat
un kī bazm-e-nāz aur ḳhuddāriyāñ
chhūT kar rah jaa.eñ nabzeñ ishq kī
sahal ho jaa.eñ agar dushvāriyāñ
ye niyāz-e-ārzūmandī na dekh
aur kuchh haiñ ishq kī ḳhuddāriyāñ
ik nigāh be-niyāz-e-ishq tak
husn kī haiñ sab ġhalat-pindāriyāñ
ai javānī ai mohabbat marhabā
phir na ye nīndeñ na ye bedāriyāñ
iḳhtilāj-e-qalb ke daure nahīñ
ishq kī 'bismil' haiñ dil-āzāriyāñ
Top Urdushayar.com