Bismil Saeedi

ishq mein koi zaman aur na makan hota hai

Bismil Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1902-1977
ishq meñ koī zamāñ aur na makāñ hotā hai
vo do-ālam se alag ek jahāñ hotā hai
kis qadar un kī tabī.at pe garāñ hotā hai
jis fasāne meñ vafāoñ kā bayāñ hotā hai
shiddat-e-shauq kā allāh re fusūñ uf re fareb
un kī nafrat pe mohabbat kā gumāñ hotā hai
sirf ik dil hī vo ma.abad hai vo ik ma.abad-e-ishq
jis meñ nāqūs ham-āvāz-e-azāñ hotā hai
un se is tarah judā ho ke ham aa.e haiñ ki haa.e
aañkh se jaise koī ashk ravāñ hotā hai
husn ke haq se koī ohda-bar-ā kyā hogā
ishq kā haq bhī adā ham se kahāñ hotā hai
apnī sozish meñ bhī hotā hai jahannum mahsūs
ġhair kī aag kā sho.ala bhī dhuāñ hotā hai
sunñe vaale hī pe hai munhasir andāza-e-ġham
varna jo haal hai vo kis se bayāñ hotā hai
ġhair kī aag meñ jalne kā maza hai kuchh aur
varna parvāna bhī ḳhud sho.ala-ba-jāñ hotā hai
haa.e is ishq meñ insāñ kā javāñ mar jaanā
jaise kambaḳht isī din ko javāñ hotā hai
saath har saañs ke aatā hai zabāñ par tirā naam
dil meñ jo kuchh ho vahī vird-e-zabāñ hotā hai
jis janāze pe barastī huī hasrat dekhūñ
us janāze pe mujhe apnā gumāñ hotā hai
ishq meñ haa.e tabī.at kā vo aalam 'bismil'
ālam-e-ishq bhī jab dil pe garāñ hotā hai
Top Urdushayar.com