Bismil Saeedi

wo aarzu wo tamanna wo iztirab nahin

Bismil Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1902-1977

vo aarzū vo tamannā vo iztirāb nahīñ

maiñ ab vahāñ huuñ jahāñ koī bāryāb nahīñ

tirī nazar hai jise inqalāb kahte haiñ

tirī nazar ke sivā koī inqalāb nahīñ

tirī nigāh shauq-āfrīniyāñ tauba

jo kāmyāb hai vo bhī to kāmyāb nahīñ

ġham-e-firāq be-kaifiyāñ ḳhudā panāh

sharāb meñ bhī to kaifiyyat-e-sharāb nahīñ

mujhe pukār rahe haiñ sanam-kade vaale

mirī duā.eñ jo ka.abe meñ mustajāb nahīñ

sab inqalāb the un nigāh phirne tak

ab āsmān gardish meñ inqalāb nahīñ

jab iltifāt na thā ishtiyāq rahtā thā

ab iltifāt huā hai to dil ko taab nahīñ

vahīñ se uThte haiñ har inqalāb ke bādal

vo mai-kada ki jahāñ koī inqalāb nahīñ

mirī nazar ko na thī taab un ke jalvoñ

ab un ke jalvoñ ko merī nazar taab nahīñ

badal ga.e haiñ shab-o-roz-e-zindagī 'bismil'

vo māhtāb nahīñ ab vo āftāb nahīñ

Top Urdushayar.com