Akbar Allahabadi

na ruh-e-mazhab na qalb-e-arif na shairana zaban baqi

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921
na rūh-e-maz.hab na qalb-e-ārif na shā.irāna zabān baaqī
zamīñ hamārī badal ga.ī hai agarche hai āsmān baaqī
shab-e-guzishta ke saaz o sāmāñ ke ab kahāñ haiñ nishān baaqī
zabān-e-shama-e-sahar pe hasrat kī rah ga.ī dāstān baaqī
jo zikr aatā hai āḳhirat kā to aap hote haiñ saaf munkir
ḳhudā kī nisbat bhī dekhtā huuñ yaqīn ruḳhsat gumān baaqī
fuzūl hai un kī bad-dimāġhī kahāñ hai fariyād ab laboñ par
ye vaar par vaar ab abas haiñ kahāñ badan meñ hai jaan baaqī
maiñ apne miTne ke ġham meñ nālāñ udhar zamāna hai shaad o ḳhandāñ
ishāra kartī hai chashm-e-daurāñ jo aan baaqī jahān baaqī
isī liye rah ga.ī haiñ āñkheñ ki mere miTne kā rañg dekheñ
sunūñ vo bāteñ jo hosh uḌā.eñ isī liye haiñ ye kaan baaqī
ta.ajjub aatā hai tifl-e-dil par ki ho gayā mast-e-nazm-e-'akbar'
abhī middle paas tak nahīñ hai bahut se haiñ imtihān baaqī
Top Urdushayar.com