na  rūh-e-maz.hab  na  qalb-e-ārif  na  shā.irāna  zabān  baaqī
zamīñ  hamārī  badal  ga.ī  hai  agarche  hai  āsmān  baaqī
shab-e-guzishta  ke  saaz  o  sāmāñ  ke  ab  kahāñ  haiñ  nishān  baaqī
zabān-e-shama-e-sahar  pe  hasrat  kī  rah  ga.ī  dāstān  baaqī
jo  zikr  aatā  hai  āḳhirat  kā  to  aap  hote  haiñ  saaf  munkir
ḳhudā  kī  nisbat  bhī  dekhtā  huuñ  yaqīn  ruḳhsat  gumān  baaqī
fuzūl  hai  un  kī  bad-dimāġhī  kahāñ  hai  fariyād  ab  laboñ  par
ye  vaar  par  vaar  ab  abas  haiñ  kahāñ  badan  meñ  hai  jaan  baaqī
maiñ  apne  miTne  ke  ġham  meñ  nālāñ  udhar  zamāna  hai  shaad  o  ḳhandāñ
ishāra  kartī  hai  chashm-e-daurāñ  jo  aan  baaqī  jahān  baaqī
isī  liye  rah  ga.ī  haiñ  āñkheñ  ki  mere  miTne  kā  rañg  dekheñ
sunūñ  vo  bāteñ  jo  hosh  uḌā.eñ  isī  liye  haiñ  ye  kaan  baaqī
ta.ajjub  aatā  hai  tifl-e-dil  par  ki  ho  gayā  mast-e-nazm-e-'akbar'
abhī  middle  paas  tak  nahīñ  hai  bahut  se  haiñ  imtihān  baaqī