Akbar Allahabadi

KHuda ali-gaDh ki madrase ko tamam amraaz se shifa de

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921
ḳhudā alī-gaḌh kī madrase ko tamām amrāz se shifā de
bhare hue haiñ ra.īs-zāde amīr-zāde sharīf-zāde
latīf o ḳhush-vaz.a chust-o-chālāk o sāf-o-pākīza shād-o-ḳhurram
tabī.atoñ meñ hai un kī jaudat diloñ meñ un ke haiñ nek irāde
kamāl mehnat se paḌh rahe haiñ kamāl ġhairat se baḌh rahe haiñ
savār mashriq kī raah meñ haiñ to maġhribī raah meñ piyāde
har ik hai un meñ kā be-shak aisā ki aap use jānte haiñ jaisā
dikhā.e mahfil meñ qadd-e-ra.anā jo aap aa.eñ to sar jhukā de
faqīr māñgeñ to saaf kah deñ ki tū hai mazbūt jā kamā khā
qubūl farmā.eñ aap dāvat to apnā sarmāya kul khilā de
butoñ se un ko nahīñ lagāvaT misoñ kī lete nahīñ vo aahaT
tamām quvvat hai sarf-e-ḳhvāñdan nazar ke bhole haiñ dil kī saade
nazar bhī aa.e jo zulf-e-pechāñ to samjheñ ye koī policy hai
electric light us ko samjheñ jo barq-vash koī koī de
nikalte haiñ kar ke ġhol-bandī ba-nām-e-tahzīb o dard-mandī
ye kah ke lete haiñ sab se chande hameñ jo tum do tumheñ ḳhudā de
unheñ isī baat par yaqīn hai ki bas yahī asal kār-e-adeñ hai
isī sī hogā faroġh-e-qaumī isī se chamkeñge baap daade
makān-e-college ke sab makīñ haiñ abhī unheñ tajrabe nahīñ haiñ
ḳhabar nahīñ hai ki aage chal kar hai kaisī manzil haiñ kaisī jaade
diloñ meñ un ke hai nūr-e-īmāñ qavī nahīñ hai magar nigahbāñ
havā-e-mantiq adā-e-tiflī ye sham.a aisā na ho bujhā de
fareb de kar nikāle matlab sikhā.e tahqīr-e-dīn-o-maz.hab
miTā de āḳhir ko vaz-e-millat numūd-e-zātī ko gar baḌhā de
yahī bas 'akbar' kī iltijā hai janāb-e-bārī meñ ye duā hai
ulūm-o-hikmat kā dars un ko professor deñ samajh ḳhudā de
Top Urdushayar.com