ḳhudā  alī-gaḌh  kī  madrase  ko  tamām  amrāz  se  shifā  de
bhare  hue  haiñ  ra.īs-zāde  amīr-zāde  sharīf-zāde
latīf  o  ḳhush-vaz.a  chust-o-chālāk  o  sāf-o-pākīza  shād-o-ḳhurram
tabī.atoñ  meñ  hai  un  kī  jaudat  diloñ  meñ  un  ke  haiñ  nek  irāde
kamāl  mehnat  se  paḌh  rahe  haiñ  kamāl  ġhairat  se  baḌh  rahe  haiñ
savār  mashriq  kī  raah  meñ  haiñ  to  maġhribī  raah  meñ  piyāde
har  ik  hai  un  meñ  kā  be-shak  aisā  ki  aap  use  jānte  haiñ  jaisā
dikhā.e  mahfil  meñ  qadd-e-ra.anā  jo  aap  aa.eñ  to  sar  jhukā  de
faqīr  māñgeñ  to  saaf  kah  deñ  ki  tū  hai  mazbūt  jā  kamā  khā
qubūl  farmā.eñ  aap  dāvat  to  apnā  sarmāya  kul  khilā  de
butoñ  se  un  ko  nahīñ  lagāvaT  misoñ  kī  lete  nahīñ  vo  aahaT
tamām  quvvat  hai  sarf-e-ḳhvāñdan  nazar  ke  bhole  haiñ  dil  kī  saade
nazar  bhī  aa.e  jo  zulf-e-pechāñ  to  samjheñ  ye  koī  policy  hai
electric  light  us  ko  samjheñ  jo  barq-vash  koī  koī  de
nikalte  haiñ  kar  ke  ġhol-bandī  ba-nām-e-tahzīb  o  dard-mandī
ye  kah  ke  lete  haiñ  sab  se  chande  hameñ  jo  tum  do  tumheñ  ḳhudā  de
unheñ  isī  baat  par  yaqīn  hai  ki  bas  yahī  asal  kār-e-adeñ  hai
isī  sī  hogā  faroġh-e-qaumī  isī  se  chamkeñge  baap  daade
makān-e-college  ke  sab  makīñ  haiñ  abhī  unheñ  tajrabe  nahīñ  haiñ
ḳhabar  nahīñ  hai  ki  aage  chal  kar  hai  kaisī  manzil  haiñ  kaisī  jaade
diloñ  meñ  un  ke  hai  nūr-e-īmāñ  qavī  nahīñ  hai  magar  nigahbāñ
havā-e-mantiq  adā-e-tiflī  ye  sham.a  aisā  na  ho  bujhā  de
fareb  de  kar  nikāle  matlab  sikhā.e  tahqīr-e-dīn-o-maz.hab
miTā  de  āḳhir  ko  vaz-e-millat  numūd-e-zātī  ko  gar  baḌhā  de
yahī  bas  'akbar'  kī  iltijā  hai  janāb-e-bārī  meñ  ye  duā  hai
ulūm-o-hikmat  kā  dars  un  ko  professor  deñ  samajh  ḳhudā  de