Akbar Allahabadi

ye sust hai to phir kya wo tez hai to phir kya

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921
ye sust hai to phir kyā vo tez hai to phir kyā
native jo hai to phir kyā añgrez hai to phir kyā
rahnā kisī se dab kar hai amn ko zarūrī
phir koī firqa haibat-añgez hai to phir kyā
rañj o ḳhushī kī sab meñ taqsīm hai munāsib
baabū jo hai to phir kyā chañgez hai to phir kyā
har rañg meñ haiñ paate bande ḳhudā ke rozī
hai painter to phir kyā rañgrez hai to phir kyā
jaisī jise zarūrat vaisī hī us kī chīzeñ
yaañ taḳht hai to phir kyā vaañ mez hai to phir kyā
mafqūd haiñ ab is ke sunñe samajhne vaale
merā suḳhan nasīhat-āmez hai to phir kyā
Top Urdushayar.com