aaj  ārā.ish-e-gesū-e-dotā  hotī  hai
phir  mirī  jaan  giraftār-e-balā  hotī  hai
shauq-e-pā-bosī-e-jānāñ  mujhe  baaqī  hai  hanūz
ghaas  jo  ugtī  hai  turbat  pe  hinā  hotī  hai
phir  kisī  kaam  kā  baaqī  nahīñ  rahtā  insāñ
sach  to  ye  hai  ki  mohabbat  bhī  balā  hotī  hai
jo  zamīñ  kūcha-e-qātil  meñ  nikaltī  hai  na.ī
vaqf  vo  bahr-e-mazār-e-shohadā  hotī  hai
jis  ne  dekhī  ho  vo  chitvan  koī  us  se  pūchhe
jaan  kyūñ-kar  hadaf-e-tīr-e-qazā  hotī  hai
naza.a  kā  vaqt  burā  vaqt  hai  ḳhāliq  kī  panāh
hai  vo  saa.at  ki  qayāmat  se  sivā  hotī  hai
ruuh  to  ek  taraf  hotī  hai  ruḳhsat  tan  se
aarzū  ek  taraf  dil  se  judā  hotī  hai
ḳhud  samajhtā  huuñ  ki  rone  se  bhalā  kyā  hāsil
par  karūñ  kyā  yūñhī  taskīn  zarā  hotī  hai
rauñdte  phirte  haiñ  vo  majma-e-aġhyār  ke  saath
ḳhuub  tauqīr-e-mazār-e-shohadā  hotī  hai
murġh-e-bismil  kī  tarah  loT  gayā  dil  merā
nigah-e-nāz  kī  tāsīr  bhī  kyā  hotī  hai
naala  kar  lene  deñ  lillāh  na  chheḌeñ  ahbāb
zabt  kartā  huuñ  to  taklīf  sivā  hotī  hai
jism  to  ḳhaak  meñ  mil  jaate  hue  dekhte  haiñ
ruuh  kyā  jaane  kidhar  jaatī  hai  kyā  hotī  hai
huuñ  fareb-e-sitam-e-yār  kā  qaa.il  'akbar'
marte  marte  na  khulā  ye  ki  jafā  hotī  hai