raushan  dil-e-ārif  se  fuzūñ  hai  badan  un  kā
rañgīñ  hai  tabī.at  kī  tarah  pairahan  un  kā
mahrūm  hī  rah  jaatī  hai  āġhosh-e-tamannā
sharm  aa  ke  churā  letī  hai  saarā  badan  un  kā
jin  logoñ  ne  dil  meñ  tire  ghar  apnā  kiyā  hai
bāhar  hai  do-ālam  se  mirī  jaañ  vatan  un  kā
har  baat  meñ  vo  chaal  kiyā  karte  haiñ  mujh  se
ulfat  na  nibhegī  jo  yahī  hai  chalan  un  kā
aariz  se  ġharaz  ham  ko  anādil  ko  hai  gul  se
hai  kūcha-e-māshūq  hamārā  chaman  un  kā
hai  saaf  nigāhoñ  se  ayaañ  josh-e-javānī
āñkhoñ  se  sambhaltā  nahīñ  mastāna-pan  un  kā
ye  sharm  ke  ma.anī  haiñ  hayā  kahte  haiñ  is  ko
āġhosh-e-tasavvur  meñ  na  aayā  badan  un  kā
ġhairoñ  hī  pe  chaltā  hai  jo  ab  naaz  kā  ḳhanjar
kyuuñ  beach  meñ  laayā  thā  mujhe  bāñkpan  un  kā
ġhairoñ  ne  kabhī  paak  nazar  se  nahīñ  dekhā
vo  us  ko  na  samjheñ  to  ye  hai  husn-e-zan  un  kā
is  zulf-o-ruḳh-o-lab  pe  unheñ  kyuuñ  na  ho  naḳhvat
tātār  hai  un  kā  halab  un  kā  yaman  un  kā
allāh  re  fareb-e-nazar-e-chashm-e-fusūñ-sāz
banda  hai  har  ik  shaiḳh  har  ik  barahman  un  kā
aayā  jo  nazar  husn-e-ḳhudā-dād  kā  jalva
but  ban  gayā  muñh  dekh  ke  har  barahman  un  kā
marqad  meñ  utārā  hameñ  tevrī  ko  chaḌhā  kar
ham  mar  bhī  ga.e  par  na  chhuTā  bāñkpan  un  kā
guzrī  huī  bāteñ  na  mujhe  yaad  dilāo
ab  zikr  hī  jaane  do  tum  ai  jān-e-man  un  kā
dilchasp  hī  aafat  hai  qayāmat  hai  ġhazab  hai
baat  un  kī  adā  un  kī  qad  un  kā  chalan  un  kā