hañgāma  hai  kyuuñ  barpā  thoḌī  sī  jo  pī  lī  hai
Daakā  to  nahīñ  maarā  chorī  to  nahīñ  kī  hai
nā-tajraba-kārī  se  vaa.iz  kī  ye  haiñ  bāteñ
is  rañg  ko  kyā  jaane  pūchho  to  kabhī  pī  hai
us  mai  se  nahīñ  matlab  dil  jis  se  hai  begāna
maqsūd  hai  us  mai  se  dil  hī  meñ  jo  khiñchtī  hai
ai  shauq  vahī  mai  pī  ai  hosh  zarā  so  jā
mehmān-e-nazar  is  dam  ek  barq-e-tajallī  hai
vaañ  dil  meñ  ki  sadme  do  yaañ  jī  meñ  ki  sab  sah  lo
un  kā  bhī  ajab  dil  hai  merā  bhī  ajab  jī  hai
har  zarra  chamaktā  hai  anvār-e-ilāhī  se
har  saañs  ye  kahtī  hai  ham  haiñ  to  ḳhudā  bhī  hai
sūraj  meñ  lage  dhabbā  fitrat  ke  karishme  haiñ
but  ham  ko  kaheñ  kāfir  allāh  kī  marzī  hai
ta.alīm  kā  shor  aisā  tahzīb  kā  ġhul  itnā
barakat  jo  nahīñ  hotī  niyyat  kī  ḳharābī  hai
sach  kahte  haiñ  shaiḳh  'akbar'  hai  tā.at-e-haq  lāzim
haañ  tark-e-mai-o-shāhid  ye  un  kī  buzurgī  hai