DhūñDte  ho  dil-e-figār  meñ  kyā
ho  bhī  saktā  hai  is  mazār  meñ  kyā
lafz  karte  haiñ  raqs  chāroñ  taraf
likhtā  rahtā  huuñ  maiñ  ḳhumār  meñ  kyā
martabe  rif.ateñ  maqām  aur  naam
aur  hotā  hai  inkisār  meñ  kyā
chand  sāñsoñ  kī  mohlatoñ  ke  evaz
us  ne  baḳhshā  hai  intizār  meñ  kyā
kis  kī  ḳhushbū  mujhe  bulātī  hai
koī  mahkā  mire  madār  meñ  kyā
jin  kī  miTTī  ḳhizāñ  se  uTThī  ho
mil  sakegā  unheñ  bahār  meñ  kyā
chiḌh  hai  kyoñ  ittihād  se  tum  ko
dost  barakat  hai  intishār  meñ  kyā
Dāchī  vaale  chale  ga.e  kab  ke
sar  khapāoge  ab  ġhubār  meñ  kyā
saath  le  kar  nahīñ  gayā  kuchh  maiñ
DhūñDte  ho  mire  mazār  meñ  kyā
raat  Duubī  hai  kyoñ  añdhere  meñ
chāñd  niklā  nahīñ  dayār  meñ  kyā