ik  mohabbat  thī  jo  thī  tartīb  meñ
varna  shai  thī  kab  koī  tartīb  meñ
ham  tujhe  kaise  banāte  ham-safar
ham  jiye  the  zindagī  tartīb  meñ
maut  kā  kuchh  Dar  nahīñ  hotā  mujhe
zindagī  merī  kaTī  tartīb  meñ
ab  tū  apne  ishq  kā  qissa  sunā
dāstāñ  apnī  to  thī  tartīb  meñ
dil  se  us  kī  yaad  ko  ruḳhsat  karo
taaki  aa.e  zindagī  tartīb  meñ
taaki  ab  apnā  nasheman  ban  sake
ḳhud  ko  le  aa  to  kisī  tartīb  meñ
vaqt  par  tāroñ  ne  chhoḌā  āsmāñ
raat  din  meñ  Dhal  ga.ī  tartīb  meñ
naam  terā  aur  mirā  joḌā  gayā
aur  aa.ī  har  ḳhushī  tartīb  meñ
chhoḌ  'ahmad'  ab  ye  be-tartībiyāñ
ḳhud  ko  ab  le  aa  kisī  tartīb  meñ