kuchh  is  tarah  vo  nigāheñ  churā.e  jaate  haiñ
ki  aur  bhī  mire  nazdīk  aa.e  jaate  haiñ
is  iltifāt-e-gurezāñ  ko  naam  kyā  diije
javāb  dete  nahīñ  muskurā.e  jaate  haiñ
nigāh-e-lutf  se  dekho  na  ahl-e-dil  kī  taraf
diloñ  ke  raaz  zabānoñ  pe  aa.e  jaate  haiñ
vo  jin  se  tark-e-ta.alluq  ko  ik  zamāna  huā
na  jaane  aaj  vo  kyuuñ  yaad  aa.e  jaate  haiñ
tumhārī  bazm  kī  kuchh  aur  baat  hai  varna
ham  aise  log  kahīñ  bin  bulā.e  jaate  haiñ
ye  dil  ke  zaḳhm  bhī  kitne  ajiib  haiñ  ai  shams'
bahār  ho  ki  ḳhizāñ  muskurā.e  jaate  haiñ