ham  tark-e-ta.alluq  kā  gilā  bhī  nahīñ  karte
tum  itne  ḳhafā  ho  ki  jafā  bhī  nahīñ  karte
tum  shauq  se  elān-e-jafā  par  raho  nāzāñ
ham  jur.at-e-iz.hār-e-vafā  bhī  nahīñ  karte
maanā  ki  hañsī  bhī  hai  adā  aap  kī  lekin
itnā  kisī  bekas  pe  hañsā  bhī  nahīñ  karte
ham  jur.at-e-guftār  ke  qaa.il  to  haiñ  lekin
har  baat  sar-e-bazm  kahā  bhī  nahīñ  karte
har  haal  meñ  maqsad  hai  safar  mahv-e-safar  haiñ
nākāmi-e-paiham  kā  gilā  bhī  nahīñ  karte
muddat  se  hai  ḳhāmosh  fazā  dār-o-rasan  kī
ab  jurm-e-vafā  ahl-e-vafā  bhī  nahīñ  karte
kyā  jāniye  kis  rañg  meñ  hai  shams  'zubairī'
but  ek  taraf  zikr-e-ḳhudā  bhī  nahīñ  karte