Bharat Bhushan Pant

mustaqil rone se dil ki be-kali baDh jaegi

Bharat Bhushan Pant

Dehradun, Uttarakhand, India

1958-2019
mustaqil rone se dil kī be-kalī baḌh jā.egī
bārisheñ hotī rahīñ to ye nadī baḌh jā.egī
ishq kī rāhoñ meñ haa.el ho rahī hai āgahī
ab junūñ baḌh jā.egā dīvāngī baḌh jā.egī
har ghaḌī terā tasavvur har nafas terā ḳhayāl
is tarah to aur bhī terī kamī baḌh jā.egī
ho sake to is hisār-e-zāt se bāhar nikal
habs meñ rahne se vahshat aur bhī baḌh jā.egī
us ne sūraj ke muqābil rakh diye apne charāġh
vo ye samjhā is tarah kuchh raushnī baḌh jā.egī
ishq ke tanhā safar meñ koī saaya DhūñD le
dhuup meñ chaltā rahā to tishnagī baḌh jā.egī
tū hamesha māñgtā rahtā hai kyuuñ ġham se najāt
ġham nahīñ hoñge to kyā terī ḳhushī baḌh jā.egī
ho sake to ham pe zāhir kar de apne dil kā haal
sochte rahne se to sanjīdgī baḌh jā.egī
apnī tanhā.ī meñ kis se guftugū kartā hai tū
in sadāoñ se to shab kī ḳhāmushī baḌh jā.egī
kyā pata thā raat bhar yuuñ jāgnā paḌ jā.egā
ik diyā bujhte hī itnī tīrgī baḌh jā.egī
Top Urdushayar.com