qurbateñ  nahīñ  rakkhīñ  fāsla  nahīñ  rakkhā
ek  baar  bichhḌe  to  rābta  nahīñ  rakkhā
itnā  to  samajhte  the  ham  bhī  us  kī  majbūrī
intizār  thā  lekin  dar  khulā  nahīñ  rakkhā
ham  ko  apne  baare  meñ  ḳhush-gumāniyāñ  kyuuñ  hoñ
ham  ne  rū-ba-rū  apne  ā.īna  nahīñ  rakkhā
jab  pata  chalā  is  meñ  sirf  ḳhuun  jaltā  hai
us  ke  ba.ad  sochoñ  kā  silsila  nahīñ  rakkhā
har  dafa  vahī  chehre  bārhā  vahī  bāteñ
in  purānī  yādoñ  meñ  kuchh  nayā  nahīñ  rakhā
apne  apne  raste  par  sab  nikal  ga.e  ik  din
saath  chalne  vāloñ  ne  hausla  nahīñ  rakkhā
jab  havā  ke  ruḳh  par  hī  kashtiyoñ  ko  bahnā  thā
tum  ne  bādbānoñ  ko  kyuuñ  khulā  nahīñ  rakkhā
ham  ko  apne  baare  meñ  harf  harf  likhnā  thā
dāstān  lambī  thī  hāshiya  nahīñ  rakkhā