rishtoñ  ke  jab  taar  ulajhne  lagte  haiñ
aapas  meñ  ghar-bār  ulajhne  lagte  haiñ
maazī  kī  āñkhoñ  meñ  jhāñk  ke  dekhūñ  to
kuchh  chehre  har  baar  ulajhne  lagte  haiñ
saal  meñ  ik  aisā  mausam  bhī  aatā  hai
phūloñ  se  hī  ḳhaar  ulajhne  lagte  haiñ
ghar  kī  tanhā.ī  meñ  apne-āp  se  ham
ban  kar  ik  dīvār  ulajhne  lagte  haiñ
ye  sab  to  duniyā  meñ  hotā  rahtā  hai
ham  ḳhud  se  be-kār  ulajhne  lagte  haiñ
kab  tak  apnā  haal  batā.eñ  logoñ  ko
tañg  aa  kar  bīmār  ulajhne  lagte  haiñ
jab  dariyā  kā  koī  chhor  nahīñ  miltā
kashtī  se  patvār  ulajhne  lagte  haiñ
kuchh  ḳhabroñ  se  itnī  vahshat  hotī  hai
hāthoñ  se  aḳhbār  ulajhne  lagte  haiñ
koī  kahānī  jab  bojhal  ho  jaatī  hai
nāTak  ke  kirdār  ulajhne  lagte  haiñ