Bharat Bhushan Pant

kuchh na kuchh silsila hi ban jata

Bharat Bhushan Pant

Dehradun, Uttarakhand, India

1958-2019

kuchh na kuchh silsila ban jaatā

ret par naqsh-e-pā ban jaatā

kis ne kāġhaz pe likh diyā mujh ko

is se behtar sadā ban jaatā

zindagī radīf mushkil thī

maiñ faqat qāfiya ban jaatā

ashk kuchh der ko tham jaate

kaam bigḌā huā ban jaatā

kashtiyāñ to ḳhudā chalātā hai

kaash maiñ nāḳhudā ban jaatā

kyā milā mujh ko nekiyoñ sila

achchhā hotā burā ban jaatā

manziloñ kise tamannā thī

bhiiḌ meñ rāstā ban jaatā

ab to bas ye havā koshish hai

ek bādal ghanā ban jaatā

maiñ bhī chehra agar haTā letā

aa.ina aa.inā ban jaatā

ham zarā aur sabr kar lete

dard shāyad davā ban jaatā

ham se dīvāne gar nahīñ hote

shahr ye hādsa ban jaatā

Top Urdushayar.com