kab  tak  gardish  meñ  rahnā  hai  kuchh  to  batā  ayyām  mujhe
kashtī  ko  sāhil  mil  jaatā  aur  thoḌā  ārām  mujhe
dasht  nahīñ  hai  ye  to  merā  ghar  hai  lekin  jaane  kyuuñ
uljhā.e  rahtī  hai  ik  vahshat  sī  sub.h-o-shām  mujhe
apnī  zaat  se  bāhar  aanā  ab  to  mirī  majbūrī  hai
varna  merī  ye  tanhā.ī  kar  degī  bad-nām  mujhe
mumkin  hai  ik  din  maiñ  in  rishtoñ  se  munkir  ho  jā.ūñ
aur  agar  aisā  hotā  hai  mat  denā  ilzām  mujhe
mere  dil  kā  dard  sunā  to  us  kī  āñkheñ  bhar  aa.iiñ
is  se  behtar  mil  nahīñ  sakte  apne  munāsib  daam  mujhe
zehn  ko  ye  āvāra  socheñ  kis  manzil  par  le  aa.iiñ
kitnī  mushkil  se  yaad  aayā  aaj  tirā  bhī  naam  mujhe
niiñd  se  isrār  na  kartīñ  shāyad  merī  āñkheñ  bhī
pahle  se  ma.alūm  jo  hotā  ḳhvāboñ  kā  anjām  mujhe
dasht-e-talab  se  kah  do  mujh  ko  merī  manzil  batlā  de
maan  liyā  hai  ab  to  sarāboñ  ne  bhī  tishna-kām  mujhe
ik  muddat  se  khoyā  huā  thā  maiñ  apnī  hī  duniyā  meñ
tum  ko  dekhā  to  yaad  aayā  tum  se  thā  kuchh  kaam  mujhe