har  ek  raat  meñ  apnā  hisāb  kar  ke  mujhe
sahar  ko  chhoḌ  diyā  āftāb  kar  ke  mujhe
mire  junūn  ko  pahuñchā  diyā  hai  manzil  tak
safar  ke  shauq  ne  ḳhāna-ḳharāb  kar  ke  mujhe
zarā  sī  der  meñ  vo  bulbule  bhī  phuuT  ga.e
jinheñ  vajūd  milā  ġharq-e-āb  kar  ke  mujhe
usī  ko  din  ke  ujāle  meñ  ā.ūñgā  maiñ  nazar
tamām  raat  jo  dekhegā  ḳhvāb  kar  ke  mujhe
jagah  jagah  pe  muḌe  haiñ  ka.ī  varaq  mere
kisī  ne  roz  paḌhā  thā  kitāb  kar  ke  mujhe
banā  rahā  hai  agar  tū  mujhe  to  dhyān  rahe
tujhe  banānā  paḌegā  ḳharāb  kar  ke  mujhe
maiñ  ik  nasha  huuñ  use  paḌ  ga.ī  hai  lat  merī
hayāt  piine  lagī  hai  sharāb  kar  ke  mujhe
mirī  shanāḳht  hai  ahl-e-suḳhan  meñ  bas  itnī
kiyā  gayā  hai  alag  intiḳhāb  kar  ke  mujhe