Bharat Bhushan Pant

chahaton ke KHwab ki tabir thi bilkul alag

Bharat Bhushan Pant

Dehradun, Uttarakhand, India

1958-2019

chāhatoñ ke ḳhvāb ta.abīr thī bilkul alag

aur jiinā paḌ rahī hai zindagī bilkul alag

vo alag ehsās thā jab kashtiyāñ maujoñ meñ thiiñ

lag rahī hai ab kināre se nadī bilkul alag

aur kuchh mahrūmiyāñ bhī zindagī ke saath haiñ

har kamī se hai magar terī kamī bilkul alag

ek an-jānī sadā ne kyā pata kyā kah diyā

ruuTh kar baiThī hai sab se ḳhāmushī bilkul alag

lafz duniyā alag shahr-e-ma.ānī aur hai

maiñ alag huuñ mujh se merī shā.erī bilkul alag

aa.ine meñ muskurātā merā chehra magar

ā.īne se jhāñktī be-chehragī bilkul alag

sochtā huuñ rañg kitne haiñ mire kirdār meñ

maiñ kabhī apnī tarah huuñ aur kabhī bilkul alag

sab añdheroñ se judā dil añdherā jis tarah

har ujāle se hai ghar raushnī bilkul alag

zindagī lai bikharne sabab shāyad yahī

saaz dhun se hai merī naġhmagī bilkul alag

mujh ko in sairābiyoñ ne ek sahrā kar diyā

aaj bhī lekin hai merī tishnagī bilkul alag

Top Urdushayar.com