Bharat Bhushan Pant

danista jo ho na sake nadani se ho jata hai

Bharat Bhushan Pant

Dehradun, Uttarakhand, India

1958-2019
dānista jo ho na sake nādānī se ho jaatā hai
aag kā dariyā paar baḌī āsānī se ho jaatā hai
had-e-nazar tak ik tanhā.ī ḳhaak uḌātī phirtī hai
sahrā be-bas apnī hī vīrānī se ho jaatā hai
jitnī umr sarāboñ kā pīchhā karne meñ guzartī hai
itnā gahrā pyaas kā rishta paanī se ho jaatā hai
ghar se nikalnā bhī mushkil hai ghar meñ rahnā bhī mushkil hai
kaisā mausam bārish kī man-mānī se ho jaatā hai
rone se dil halkā to ho jaatā hai lekin socho
vo nuqsān jo ashkoñ kī arzānī se ho jaatā hai
jhiil kī gahrī ḳhāmoshī bhī hotī hai mashkūk magar
dariyā rusvā maujoñ kī tuġhyānī se ho jaatā hai
Top Urdushayar.com