dānista  jo  ho  na  sake  nādānī  se  ho  jaatā  hai
aag  kā  dariyā  paar  baḌī  āsānī  se  ho  jaatā  hai
had-e-nazar  tak  ik  tanhā.ī  ḳhaak  uḌātī  phirtī  hai
sahrā  be-bas  apnī  hī  vīrānī  se  ho  jaatā  hai
jitnī  umr  sarāboñ  kā  pīchhā  karne  meñ  guzartī  hai
itnā  gahrā  pyaas  kā  rishta  paanī  se  ho  jaatā  hai
ghar  se  nikalnā  bhī  mushkil  hai  ghar  meñ  rahnā  bhī  mushkil  hai
kaisā  mausam  bārish  kī  man-mānī  se  ho  jaatā  hai
rone  se  dil  halkā  to  ho  jaatā  hai  lekin  socho
vo  nuqsān  jo  ashkoñ  kī  arzānī  se  ho  jaatā  hai
jhiil  kī  gahrī  ḳhāmoshī  bhī  hotī  hai  mashkūk  magar
dariyā  rusvā  maujoñ  kī  tuġhyānī  se  ho  jaatā  hai