tū  ne  ġham  ḳhvāh-maḳhvāh  us  kā  uThāyā  huā  hai
dil  ye  nādāñ  to  kisī  aur  pe  aayā  huā  hai
is  zamāne  ko  dikhāne  ke  liye  chehre  par
ham  ne  ik  chehra-e-shādāb  chaḌhāyā  huā  hai
rāt-bhar  chāñd-sitāroñ  se  sajāte  haiñ  use
ham  ne  jis  ghar  ko  tasavvur  meñ  basāyā  huā  hai
ek  chehra  jise  ham  ne  bhī  nahīñ  dekhā  kabhī
apnī  āñkhoñ  meñ  zamāne  se  chhupāyā  huā  hai
sahal  lagtā  hai  tujhe  kyā  safar-e-sher-o-suḳhan
umr-bhar  dhuup  meñ  jhulse  haiñ  to  saaya  huā  hai
vird  karte  the  kabhī  jis  kā  shab-o-roz  'salīm'
jaane  kyā  naam  thā  ab  dil  ne  bhulāyā  huā  hai