rañg-e-ḳhulūs  gañg-o-jaman  meñ  nahīñ  rahā
kyā  husn  thā  jo  arz-e-vatan  meñ  nahīñ  rahā
kartā  nahīñ  hai  dasht-e-tamannā  meñ  koī  ram
ab  vo  ġhazāl  shauq-e-ḳhutan  meñ  nahīñ  rahā
ashjār-e-gul  ko  maiñ  ne  hī  sīñchā  tamām-umr
ḳhushbū  use  milī  jo  chaman  meñ  nahīñ  rahā
yak-laḳht  mujh  pe  us  ke  sab  asrār  khul  ga.e
ab  koī  jin  charāġh-e-badan  meñ  nahīñ  rahā
tabdīl  ho  ga.e  haiñ  javāñ-sāl  ḳhāl-o-ḳhad
vo  bāñkpan  bhī  tere  suḳhan  meñ  nahīñ  rahā
maiñ  tishna-kām  us  ke  kināre  gayā  'salīm'
lekin  vo  aab  ḳhitta-e-tan  meñ  nahīñ  rahā