safar  se  aa.e  to  phir  ik  safar  nasīb  huā
ki  umr-bhar  ke  liye  kis  ko  ghar  nasīb  huā
vo  ek  chehra  jo  barsoñ  rahā  hai  āñkhoñ  meñ
kab  us  ko  dekhnā  bhī  āñkh-bhar  nasīb  huā
tamām-umr  guzārī  usī  ke  kāñdhe  par
jo  ek  lamha  hameñ  muḳhtasar  nasīb  huā
havā  meñ  hilte  hue  haath  aur  nam  āñkheñ
hameñ  bas  itnā  hī  zād-e-safar  nasīb  huā
huā  ke  ruḳh  se  pur-ummīd  thā  bahut  gulshan
par  ab  ke  bhī  shajar  be-samar  nasīb  huā
bulandiyoñ  kī  havas  meñ  jo  sab  ko  chhoḌ  ga.e
kab  un  parindoñ  ko  apnā  shajar  nasīb  huā
laboñ  se  niklīñ  idhar  aur  udhar  qubūl  huiiñ
kahāñ  duāoñ  meñ  aisā  asar  nasīb  huā
idhar  chhupā.eñ  to  khil  jaa.eñ  dūsrī  jānib
libās-e-zīst  zarā  muḳhtasar  nasīb  huā
'salīm'  chāroñ-taraf  tīrgī  ke  jaal  ghane
pa  ham  ko  neshtar-e-be-zarar  nasīb  huā