aarzū  ek  nadī  ho  jaise
zindagī  tishna-labī  ho  jaise
ye  javānī  tirī  chāhat  ke  baġhair
mahz  ik  jām-e-tahī  ho  jaise
kal  hī  bichhḌe  the  magar  lagtā  hai
ik  sadī  biit  ga.ī  ho  jaise
umr-bhar  qarz  chukāyā  is  kā
ziist  banñe  kī  bahī  ho  jaise
fasl  chāñdī  kī  ugānā  sar  par
vaqt  kī  jādūgarī  ho  jaise
zulm  sah  kar  bhī  hai  ḳhilqat  ḳhāmosh
mohr  hoñToñ  pe  lagī  ho  jaise
har  taraf  maut  kā  sannāTā  hai
shahr  par  saaḌH  satī  ho  jaise
yuuñ  hai  ik  moḌ  par  hairāñ  sī  hayāt
rāstā  bhuul  ga.ī  ho  jaise
paḌh  ke  tārīḳh  ko  yuuñ  lagtā  hai
ye  mazālim  kī  sadā  ho  jaise
raakh  kā  Dher  hai  ab  hasrat-e-dil
ik  dulhan  jal  ke  marī  ho  jaise
sher  kahtā  huuñ  salīqe  se  'shabāb'
ye  bhī  ā.īna-garī  ho  jaise