aa  gayā  hai  vaqt  ab  bhugtoge  ḳhamiyāze  bahut
ham  faqīroñ  par  kase  tum  ne  bhī  āvāze  bahut
tum  ne  jo  qisse  kiye  mansūb  merī  zaat  se
thī  haqīqat  un  meñ  thoḌī  aur  andāze  bahut
jin  ko  apnī  kāmyābī  kā  baḌā  pindār  thā
ham  ne  dekhe  haiñ  bikharte  un  ke  shīrāze  bahut
ghuT  na  jaa.e  dam  kahīñ  nafrat  ke  is  māhaul  meñ
kar  liye  ham  ne  muqaffal  dil  ke  darvāze  bahut
shahr  ke  mele  meñ  yuuñ  to  gul-ruḳhoñ  kī  bhiiḌ  thī
in  meñ  chehre  the  magar  kam  aur  the  ġhāze  bahut
bas  vahī  hogā  razā  ko  terī  jo  manzūr  hai
kaam  ā.eñge  na  computer  ke  andāze  bahut
ham  ne  Thukrā.e  na-jāne  kitne  āñkhoñ  ke  payām
mah-vashoñ  ne  ham  pe  khole  dil  ke  darvāze  bahut
rafta  rafta  vaqt  ke  marham  se  bhar  hī  jā.eñge
ishq  ne  jo  zaḳhm  baḳhshe  haiñ  abhī  taaze  bahut
ham  sharīf  insāñ  'shabāb'  is  ghar  meñ  nā-mahfūz  haiñ
is  meñ  darvāze  to  kam  haiñ  chor  darvāze  bahut