jādūī  māhaul  meñ  har  lene  vaalī  chhatriyāñ
malgajī  rut  dūdhiyā  hāthoñ  meñ  kaalī  chhatriyāñ
ham  ne  jin  qadroñ  ko  samjhā  thā  ḳhayālī  chhatriyāñ
thiiñ  vahīñ  tūfān  meñ  kaam  aane  vaalī  chhatriyāñ
ġham  ke  sahrā  kī  tapish  ḳhud  jhelnī  hogī  hameñ
bevafā  ahbāb  haiñ  saa.e  se  ḳhālī  chhatriyāñ
aaj  ḳhud  hī  be-tahaffuz  haiñ  zamāne  ke  ḳhudā
vaqt  vo  hai  ḳhud  haiñ  saa.e  kī  savālī  chhatriyāñ
terī  furqat  kī  tapish  kuchh  in  se  kam  hotī  nahīñ
jām-o-raqs-o-naġhma  haiñ  sab  dekhī-bhālī  chhatriyāñ
ye  hasīñ  chehre  ye  gore  sānvī  chikne  badan
ye  ġhamoñ  kī  dhuup  meñ  kaam  aane  vaalī  chhatriyāñ
kaaT  hī  legā  bashar  dukh  kī  bharī  barsāt  ko
taan  kar  jhūTī  umīdoñ  kī  ḳhayālī  chhatriyāñ
dhuup  ke  maare  huo  kohsār  ke  dāman  meñ  aao
patta  patta  sā.ebāñ  haiñ  Daalī  Daalī  chhatriyāñ