hadd-e-sitam  na  kar  ki  zamāna  ḳharāb  hai
zālim  ḳhudā  se  Dar  ki  zamāna  ḳharāb  hai
itnā  na  ban-sañvar  ki  zamāna  ḳharāb  hai
mailī  nazar  se  Dar  ki  zamāna  ḳharāb  hai
bahnā  paḌegā  vaqt  ke  dhāre  ke  saath  saath
ban  us  kā  ham-safar  ki  zamāna  ḳharāb  hai
phislan  qadam  qadam  pe  hai  bāzār-e-shauq  meñ
chal  dekh-bhāl  kar  ki  zamāna  ḳharāb  hai
kuchh  un  pe  ġhaur  kar  jo  taqāze  haiñ  vaqt  ke
un  se  nibāh  kar  ki  zamāna  ḳharāb  hai
aa  ġharq-e-jām  kar  deñ  mile  haiñ  jo  ranj-o-ġham
paimāna  merā  bhar  ki  zamāna  ḳharāb  hai
gar  be-Thikāna  haiñ  to  nahīñ  sharmsār  ham
ab  kyā  banā.eñ  ghar  ki  zamāna  ḳharāb  hai
mehnat  shu.ūr  tajraba  ta.alīm-o-tarbiyat
sab  kuchh  hai  be-asar  ki  zamāna  ḳharāb  hai
do  roTiyāñ  nahīñ  na  sahī  ek  hī  sahī
is  par  hī  sabr  kar  ki  zamāna  ḳharāb  hai